Wednesday, April 7, 2010

Rana Ki Robot Katha

Dwapar Yug ki sachchi ghatna par aadharit ye kahani aaj aap sab ke saamne pesh hai. Us waqt Mahbharat ki ladai parwan chadh rahi thi. Or is yudh ka karan tha Robotics Nagri ke Maharaj Rana Ji. Asal me wo purwi bharat ki sundari SARA pe fida the or use paane ka ek hi upaay tha ki use yudh me jit liya jaaye. Unhone Mahabharat ka bigul to phoonk diya parantu unke rajya me napunsako ki sankhya jyada hone ke karan unki sena ka aakar chota tha. Isi prakar apni saiya pe lete hue sochte sochte unki aankh lag gayi or sapne me unhe 21st century ke Electronics ke Mahagyani Mr. Aniket Rana se bhent hui. Unhone Aniket ko apni samasya batayi. Aniket ne Rana ji ko madad ka purna aaswashan diya. Aap soch rahe honge ki aankhir Aniket itni aasani se Rana ki madad Karne raji Kaise ho gaye. Asal me Aniket ko b Rana ji ki bhanti purvi bharat ki sundari se pyaar tha aur isi Love Connection ke karan Aniket, Rana ki madad karne taiyaar ho gaya. Aniket ne kaafi soch vichaar ke ek Aise Robot ka aawiskar kiya jo ki ek ishaare pe dusman ke kile me ghush ke toofan macha de. Aniket ne agle din swapne ke madhyam se Rana ji ko Prototype dikhaaya. Rana ji ko idea to bahut pasand aaya parantu unhone kaha is robot ko sunder ladkiyo ka haran karne thoda modify kare taaki wo Sara ka haran kar sake. Aniket samajh gaya or usne theek waisa hi kiya. Phir usne Time Machine ke madhyam se Saare Robots Export kar diye. Parantu Aniket ne Rana ji se ek vachan liya ki wo unke rajya ki sabhi sundar ladkiyo ke saath sambhog karenge unhe Robot dene ke badle me. Rana, Aniket ki sart jhat se maan gaye kyonki unke dimaag pe to bas Saara sawaar thi. Bas Phir kya tha, Rana ne Yudh ka bigul Phoonk Diya, Robots ne kile me toofan macha diya or har ladki ka haran kar liya. Par Aniket b chalak tha, usne Robots me thode testerone inject kar diya the, ladkiyo ko dekh ke robots apna control kho baithe or beech jungle me unka chir haran kar diya. Yeh Khabar Milte hi Rana ji Krodhit ho gaye or Aniket ko aisi saja di jise dekh khud saja bhi sarma jaaye.

Aniket Rana ne is ghatna ke baad Robot kabhi na banane ki kasam khayi.

1 comment: